kahin nigah kahin lab kahin zaban hoga
kahīñ nigāh kahīñ lab kahīñ zabāñ hogā
ġhazal kaho na kaho ishq to bayāñ hogā
hudūd-e-dard ke aage na kā.enāt na zaat
kahīñ zamīn na hogī to āsmāñ hogā
badal ke rakh de jo taqdīr-e-sang-o-ḳhisht ik din
na jaane kaun se ghar meñ vo ġham javāñ hogā
haram meñ dair meñ maiḳhāne meñ ḳharābe meñ
jahāñ bhī jā.iye ik shaḳhs darmiyāñ hogā
vo ek baat ki Darte haiñ un se kahte hue
us ek baat kā charchā kahāñ-kahāñ hogā
kahin nigah kahin lab kahin zaban hoga
ghazal kaho na kaho ishq to bayan hoga
hudud-e-dard ke aage na kaenat na zat
kahin zamin na hogi to aasman hoga
badal ke rakh de jo taqdir-e-sang-o-KHisht ek din
na jaane kaun se ghar mein wo gham jawan hoga
haram mein dair mein maiKHane mein KHarabe mein
jahan bhi jaiye ek shaKHs darmiyan hoga
wo ek baat ki Darte hain un se kahte hue
us ek baat ka charcha kahan-kahan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.