kahin par shadmani hai kahin par nauha-KHwani hai
kahin par shadmani hai kahin par nauha-KHwani hai
Kundan Lal Kundan
MORE BYKundan Lal Kundan
kahīñ par shādmānī hai kahīñ par nauha-ḳhvānī hai
jo sach pūchho haqīqat meñ yahī to zindagānī hai
jo sūraj āsmānī hai usī se zindagānī hai
vo jab tak ġhair-fānī hai to har shai jāvedānī hai
jise tum ruuh kahte ho use dil bhī to kahte haiñ
vahī hai aatmā sab kī azal se jāvedānī hai
kisī se dushmanī terī kisī se dostī terī
kisī se be-ruḳhī hai to kisī se ḳhush-bayānī hai
nahīñ hākim ko kuchh parvā ki hai mahkūm kis ġham meñ
hai hāhā-kār harsū har taraf chhā.ī girānī hai
anokhā hai tarīqa va.az kā tere bhī ai vaa.iz
kisī se tū hai āzurda kisī par mehrbānī hai
dar-e-mahbūb se aayā hai ḳhālī nāma-bar apnā
na hai tahrīr hī meñ kuchh na paiġhām-e-zabānī hai
yahāñ faanī hai har ik shai fanā sab kā muqaddar hai
haqīqat meñ usī kī zaat 'kundan' jāvedānī hai
kahin par shadmani hai kahin par nauha-KHwani hai
jo sach puchho haqiqat mein yahi to zindagani hai
jo suraj aasmani hai usi se zindagani hai
wo jab tak ghair-fani hai to har shai jawedani hai
jise tum ruh kahte ho use dil bhi to kahte hain
wahi hai aatma sab ki azal se jawedani hai
kisi se dushmani teri kisi se dosti teri
kisi se be-ruKHi hai to kisi se KHush-bayani hai
nahin hakim ko kuchh parwa ki hai mahkum kis gham mein
hai haha-kar harsu har taraf chhai girani hai
anokha hai tariqa waz ka tere bhi ai waiz
kisi se tu hai aazurda kisi par mehrbani hai
dar-e-mahbub se aaya hai KHali nama-bar apna
na hai tahrir hi mein kuchh na paigham-e-zabani hai
yahan fani hai har ek shai fana sab ka muqaddar hai
haqiqat mein usi ki zat 'kundan' jawedani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.