kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun
kahīñ par sub.h rakhtā huuñ kahīñ par shaam rakhtā huuñ
phir is be-rabt se ḳhāke meñ ḳhud se kaam rakhtā huuñ
salīqe se maiñ us kī guftugū kā lutf letā huuñ
aur us ke rū-ba-rū dil meñ ḳhayāl-e-ḳhām rakhtā huuñ
ba-zāhir mad.h se us kī kabhī thaktā nahīñ lekin
darūn-e-ḳhāna-e-dil ḳhvāhish-e-dushnām rakhtā huuñ
ḳhush aa.ī hai abhī to qaid-e-ḳhvāhish is ḳharābe meñ
abhī ḳhud ko rahīn-e-gardish-e-ayyām rakhtā huuñ
safar kī sub.h meñ ranj-e-safar kī dhuul uḌtī hai
had-e-āġhāz meñ andesha-e-anjām rakhtā huuñ
firāq o vasl se haT kar koī rishta hamārā hai
ki us ko chhoḌ paatā huuñ na us ko thaam rakhtā huuñ
dalīl-e-ḳhvāb-e-mastī hai tirī āmādgī imshab
magar is shab meñ tujh se aur koī kaam rakhtā huuñ
tajāvuz se bhalā kab tak guzar auqāt mumkin thī
so apne ḳhuun tak shor-e-dil-e-badnām rakhtā huuñ
kahin par subh rakhta hun kahin par sham rakhta hun
phir is be-rabt se KHake mein KHud se kaam rakhta hun
saliqe se main us ki guftugu ka lutf leta hun
aur us ke ru-ba-ru dil mein KHayal-e-KHam rakhta hun
ba-zahir madh se us ki kabhi thakta nahin lekin
darun-e-KHana-e-dil KHwahish-e-dushnam rakhta hun
KHush aai hai abhi to qaid-e-KHwahish is KHarabe mein
abhi KHud ko rahin-e-gardish-e-ayyam rakhta hun
safar ki subh mein ranj-e-safar ki dhul uDti hai
had-e-aghaz mein andesha-e-anjam rakhta hun
firaq o wasl se haT kar koi rishta hamara hai
ki us ko chhoD pata hun na us ko tham rakhta hun
dalil-e-KHwab-e-masti hai teri aamadgi imshab
magar is shab mein tujh se aur koi kaam rakhta hun
tajawuz se bhala kab tak guzar auqat mumkin thi
so apne KHun tak shor-e-dil-e-badnam rakhta hun
- Book : Gaflat ke Barabar (Pg. 129)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.