kahin pe KHwab kahin KHwab ka guman nikla
kahīñ pe ḳhvāb kahīñ ḳhvāb kā gumāñ niklā
yahāñ bhī aadmī āḳhir ko be-nishāñ niklā
sanam tarāshe haiñ tū ne hī apnī marzī se
jabīn-e-shauq tirā hausla kahāñ niklā
agar azaab se nikle to ye bhī dekheñge
zamīñ ke kaun se hisse se āsmāñ niklā
guzartī shaam ke manzar pe raat hañs ke to dekh
mire lahū kā agar sho.ala-e-nihāñ niklā
kahin pe KHwab kahin KHwab ka guman nikla
yahan bhi aadmi aaKHir ko be-nishan nikla
sanam tarashe hain tu ne hi apni marzi se
jabin-e-shauq tera hausla kahan nikla
agar azab se nikle to ye bhi dekhenge
zamin ke kaun se hisse se aasman nikla
guzarti sham ke manzar pe raat hans ke to dekh
mere lahu ka agar shoala-e-nihan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.