kahin pe rukte hue aur kahin guzarte hue
kahīñ pe rukte hue aur kahīñ guzarte hue
ḳhajil to ḳhuub hue nāzirīñ guzarte hue
maiñ ik nigāh kī duurī pe īstāda thā
guzarne vaale ne dekhā nahīñ guzarte hue
tirī havā.eñ ki jaanā thā aur samt unheñ
mire navāh meñ ruk sī ga.iiñ guzarte hue
maiñ sab se pahle jise bhūlne meñ jaldī kī
vo yaad aayā dam-e-āḳhrīñ guzarte hue
guzar na jaa.e bashārat kī sā.at-e-avval
zarā sī der rukeñ zā.erīñ guzarte hue
kahin pe rukte hue aur kahin guzarte hue
KHajil to KHub hue nazirin guzarte hue
main ek nigah ki duri pe istada tha
guzarne wale ne dekha nahin guzarte hue
teri hawaen ki jaana tha aur samt unhen
mere nawah mein ruk si gain guzarte hue
main sab se pahle jise bhulne mein jaldi ki
wo yaad aaya dam-e-aKHrin guzarte hue
guzar na jae bashaarat ki saat-e-awwal
zara si der ruken zaerin guzarte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.