kahin raaz-e-dil ab ayan ho na jae
kahīñ rāz-e-dil ab ayaañ ho na jaa.e
nigāh-e-mohabbat zabāñ ho na jaa.e
vo kuchh mehrbāñ se nazar aa rahe haiñ
kahīñ vaqt nā-mehrbāñ ho na jaa.e
chhupātā to huuñ dil kī hālat ko lekin
kisī kī nazar rāzdāñ ho na jaa.e
koī pursish-e-hāl ko aa rahā hai
ġham-e-ārzū phir javāñ ho na jaa.e
zamāne meñ ab mere charche haiñ 'muztar'
mirī zindagī dāstāñ ho na jaa.e
kahin raaz-e-dil ab ayan ho na jae
nigah-e-mohabbat zaban ho na jae
wo kuchh mehrban se nazar aa rahe hain
kahin waqt na-mehrban ho na jae
chhupata to hun dil ki haalat ko lekin
kisi ki nazar raazdan ho na jae
koi pursish-e-haal ko aa raha hai
gham-e-arzu phir jawan ho na jae
zamane mein ab mere charche hain 'muztar'
meri zindagi dastan ho na jae
- Raqs-e-bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.