kahin sanehe milenge kahin hadisa milega
kahin sanehe milenge kahin hadisa milega
Amber Waseem Allahabadi
MORE BYAmber Waseem Allahabadi
kahīñ sānehe mileñge kahīñ hādisa milegā
tire shahr kī fazā se mujhe aur kyā milegā
koī sañg toḌne hai sar-e-rāh-e-zindagānī
maiñ har ik se pūchhtā huuñ kahīñ aa.inā malegā
tirī jaan baḳhsh denā mirī maslahat kā juz hai
mire qātiloñ se ik din tirā silsila milegā
mire qatl kī haqīqat na chhupā sakegā koī
mire qātiloñ ke ghar meñ mirā ḳhat jalā milegā
maiñ bhañvar meñ jab phañsā thā ye sadā dī us ne 'ambar'
tirī naav hai bhañvar meñ tujhe nā-ḳhudā malegā
kahin sanehe milenge kahin hadisa milega
tere shahr ki faza se mujhe aur kya milega
koi sang toDne hai sar-e-rah-e-zindagani
main har ek se puchhta hun kahin aaina malega
teri jaan baKHsh dena meri maslahat ka juz hai
mere qatilon se ek din tera silsila milega
mere qatl ki haqiqat na chhupa sakega koi
mere qatilon ke ghar mein mera KHat jala milega
main bhanwar mein jab phansa tha ye sada di us ne 'ambar'
teri naw hai bhanwar mein tujhe na-KHuda malega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.