Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin se aaya tumhaara KHayal waise hi

Zubair Qaisar

kahin se aaya tumhaara KHayal waise hi

Zubair Qaisar

MORE BYZubair Qaisar

    kahīñ se aayā tumhārā ḳhayāl vaise

    ġhazal honā huā hai kamāl vaise

    hamāre husn-e-nazar kamāl kuchh bhī nahīñ

    to kyā tumhārā hai saarā jamāl vaise

    tirā visāl ki jis taur mere bas meñ nahīñ

    huā hai hijr meñ jiinā muhāl vaise

    tirā javāb mire kaam nahīñ hai ab

    ki maiñ to bhuul chukā huuñ savāl vaise

    kahā ye kis ne ki uktā gayā junūñ se maiñ

    paḌā huuñ dasht meñ ab to niDhāl vaise

    uchhāltā hai jazīroñ ko jis tarah ai bahr

    mirī bhī laash ko tah se uchhāl vaise

    nikāltā hai jis taur raat se sūraj

    hamārī shab se hameñ bhī nikāl vaise

    kahin se aaya tumhaara KHayal waise hi

    ghazal ka hona hua hai kamal waise hi

    hamare husn-e-nazar ka kamal kuchh bhi nahin

    to kya tumhaara hai sara jamal waise hi

    tera visal ki jis taur mere bas mein nahin

    hua hai hijr mein jina muhaal waise hi

    tera jawab mere kaam ka nahin hai ab

    ki main to bhul chuka hun sawal waise hi

    kaha ye kis ne ki ukta gaya junun se main

    paDa hun dasht mein ab to niDhaal waise hi

    uchhaalta hai jaziron ko jis tarah ai bahr

    meri bhi lash ko tah se uchhaal waise hi

    nikalta hai tu jis taur raat se suraj

    hamari shab se hamein bhi nikal waise hi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now