kahin shab-KHun ka andesha nahin hai
kahīñ shab-ḳhūñ kā andesha nahīñ hai
ye āġhāz-e-safar achchhā nahīñ hai
tilism-e-ḳhāmushī TuuTā nahīñ hai
magar maqtal sā sannāTā nahīñ hai
ḳhizāñ ke lauT jaane kā hai ḳhadsha
chaman dil kā abhī ujḌā nahīñ hai
jo gard-e-rāh meñ manzil na dekhe
koī sāhab-nazar aisā nahīñ hai
har ik shāḳh-e-shajar se dukh na barse
abhī vo marhala aayā nahīñ hai
samundar tīrgī kā darmiyāñ hai
sahar kā qāfila bhaTkā nahīñ hai
sitāra chhup gayā hai bādaloñ meñ
musāfir rāsta bhūlā nahīñ hai
kahin shab-KHun ka andesha nahin hai
ye aaghaz-e-safar achchha nahin hai
tilism-e-KHamushi TuTa nahin hai
magar maqtal sa sannaTa nahin hai
KHizan ke lauT jaane ka hai KHadsha
chaman dil ka abhi ujDa nahin hai
jo gard-e-rah mein manzil na dekhe
koi sahab-nazar aisa nahin hai
har ek shaKH-e-shajar se dukh na barse
abhi wo marhala aaya nahin hai
samundar tirgi ka darmiyan hai
sahar ka qafila bhaTka nahin hai
sitara chhup gaya hai baadalon mein
musafir rasta bhula nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.