kahin sukun na mila dil ko bazm-e-yar ke baad
kahīñ sukūñ na milā dil ko bazm-e-yār ke ba.ad
ki be-qarār rahī zindagī qarār ke ba.ad
uThe na paañv mohabbat kī rahguzār ke ba.ad
koī qayām nahīñ hai tire dayār ke ba.ad
qabā.eñ chaak to karte raheñge dīvāne
kabhī bahār se pahle kabhī bahār ke ba.ad
sharāb-e-ishq kā mai-kash rahā sadā mad.hosh
terī nigāh kī mastī chaḌhī ḳhumār ke ba.ad
nigāh-e-shauq ne donoñ jahāñ ko chhān liyā
milā na rañg koī jalva-gah-e-yār ke ba.ad
talab hai us kī to ho jaao qatl-e-ishq 'fanā'
milī haiñ azmateñ mansūr ko bhī daar ke ba.ad
kahin sukun na mila dil ko bazm-e-yar ke baad
ki be-qarar rahi zindagi qarar ke baad
uThe na panw mohabbat ki rahguzar ke baad
koi qayam nahin hai tere dayar ke baad
qabaen chaak to karte rahenge diwane
kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke baad
sharab-e-ishq ka mai-kash raha sada madhosh
teri nigah ki masti chaDhi KHumar ke baad
nigah-e-shauq ne donon jahan ko chhan liya
mila na rang koi jalwa-gah-e-yar ke baad
talab hai us ki to ho jao qatl-e-ishq 'fana'
mili hain azmaten mansur ko bhi dar ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.