kahin to ho taraf-dari hamari
kahīñ to ho taraf-dārī hamārī
kabhī to piiTh ho bhārī hamārī
tumhārī guftugū se lag rahā hai
hai ḳhushbū jānī-pahchānī hamārī
isī ummīd par zinda haiñ āñkheñ
kabhī to aa.egī baarī hamārī
abhī hai khel meñ milnā bichhaḌnā
kahāñ tak jā.egī paarī hamārī
zamīñ kī chhāñv sab tum ko mubārak
chalo jo dhuup hai saarī hamārī
kahin to ho taraf-dari hamari
kabhi to piTh ho bhaari hamari
tumhaari guftugu se lag raha hai
hai KHushbu jaani-pahchani hamari
isi ummid par zinda hain aankhen
kabhi to aaegi bari hamari
abhi hai khel mein milna bichhaDna
kahan tak jaegi pari hamari
zamin ki chhanw sab tum ko mubarak
chalo jo dhup hai sari hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.