kahin to hogi mulaqat ai chaman-ara
kahīñ to hogī mulāqāt ai chaman-ārā
ki maiñ bhī huuñ tirī ḳhushbū kī tarah āvārā
hazār aib kamā.e haiñ ek ḳhūbī se
jo ab ho maiñ so huuñ apne mizāj kā maarā
huā na tiis bahāroñ meñ ek baar hameñ
ye ishtiyāq ki aa.e bahār dobārā
baġhair markaz-e-ummīd-o-be-sukūn-e-darūñ
maiñ ik ḳhalā huuñ jo sābit bane na sayyārā
hai ek shahr meñ aur muddatoñ nahīñ miltā
vo shaḳhs jis ko rakhā ham ne jaan se pyārā
kahin to hogi mulaqat ai chaman-ara
ki main bhi hun teri KHushbu ki tarah aawara
hazar aib kamae hain ek KHubi se
jo ab ho main so hun apne mizaj ka mara
hua na tis bahaaron mein ek bar hamein
ye ishtiyaq ki aae bahaar dobara
baghair markaz-e-ummid-o-be-sukun-e-darun
main ek KHala hun jo sabit bane na sayyara
hai ek shahr mein aur muddaton nahin milta
wo shaKHs jis ko rakha hum ne jaan se pyara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.