kahin unwan badla hai kahin tarz-e-bayan badla
kahīñ 'unvān badlā hai kahīñ tarz-e-bayāñ badlā
azal se tā-abad afsāna-e-hastī kahāñ badlā
makīñ badle makāñ badlā zamīñ badlī zamāñ badlā
na badle husn-o-ulfat haañ zamīn-o-āsmāñ badlā
badalne ko hazāroñ karvaTeñ badlīñ zamāne ne
magar merī jabīñ badlī na terā āstāñ badlā
libās-e-nau-ba-nau har daur meñ badle haiñ donoñ ne
na ishq-e-sarmadī badlā na husn-e-jāvedāñ badlā
vahī pahlā tabassum aaj tak hai husn ke lab par
vahī pahlī fuġhān-e-‘ishq hai jis se jahāñ badlā
taġhayyur se barī husn-o-mohabbat kī gul-afshānī
garāñ guzrī zamāne par zamāna sar-garāñ badlā
kahin 'unwan badla hai kahin tarz-e-bayan badla
azal se ta-abad afsana-e-hasti kahan badla
makin badle makan badla zamin badli zaman badla
na badle husn-o-ulfat han zamin-o-asman badla
badalne ko hazaron karwaTen badlin zamane ne
magar meri jabin badli na tera aastan badla
libas-e-nau-ba-nau har daur mein badle hain donon ne
na ishq-e-sarmadi badla na husn-e-jawedan badla
wahi pahla tabassum aaj tak hai husn ke lab par
wahi pahli fughan-e-‘ishq hai jis se jahan badla
taghayyur se bari husn-o-mohabbat ki gul-afshani
garan guzri zamane par zamana sar-garan badla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.