Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin wo surat-e-KHuban hua hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

kahin wo surat-e-KHuban hua hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    kahīñ vo sūrat-e-ḳhūbāñ huā hai

    kahīñ vo āshiq-e-hairāñ huā hai

    kahīñ gul hai kahīñ bulbul kahīñ baaġh

    kahīñ dard o kahīñ darmāñ huā hai

    kahīñ mast o kahīñ hoshyār hai vo

    kahīñ daanā kahīñ nādāñ huā hai

    kahīñ ḳhaak o kahīñ baad o kahīñ aab

    kahīñ vo ātish-e-sozāñ huā hai

    kahīñ lafz o kahīñ ma.anī kahīñ harf

    kahīñ pothī kahīñ qur.āñ huā hai

    kahīñ nuur o kahīñ aiman kahīñ tuur

    kahīñ muusā kahīñ imrāñ huā hai

    kahīñ masjid kahīñ but-ḳhāna hai vo

    kahīñ kufr o kahīñ īmāñ huā hai

    kahīñ ḳhalq o kahīñ ḳhallāq-e-ālam

    kahīñ zāhir kahīñ pinhāñ huā hai

    kahīñ 'hātim' kahīñ jāñ-baḳhsh 'hātim'

    kahīñ 'hātim' mehmāñ huā hai

    kahin wo surat-e-KHuban hua hai

    kahin wo aashiq-e-hairan hua hai

    kahin gul hai kahin bulbul kahin bagh

    kahin dard o kahin darman hua hai

    kahin mast o kahin hoshyar hai wo

    kahin dana kahin nadan hua hai

    kahin KHak o kahin baad o kahin aab

    kahin wo aatish-e-sozan hua hai

    kahin lafz o kahin mani kahin harf

    kahin pothi kahin quran hua hai

    kahin nur o kahin aiman kahin tur

    kahin musa kahin imran hua hai

    kahin masjid kahin but-KHana hai wo

    kahin kufr o kahin iman hua hai

    kahin KHalq o kahin KHallaq-e-alam

    kahin zahir kahin pinhan hua hai

    kahin 'hatim' kahin jaan-baKHsh 'hatim'

    kahin 'hatim' ka ja mehman hua hai

    Source :
    • Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 285)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now