kahin zamin kahin aasman chhoD aae
kahīñ zamīn kahīñ āsmān chhoḌ aa.e
dayār-karb meñ apnā makān chhoḌ aa.e
na.e safar pe na.e mausamoñ ne dī āvāz
kaḌī thī dhuup magar sā.ebān chhoḌ aa.e
ye jaan kar bhī ki nā-mehrbāniyāñ hoñgī
purāne shahr meñ sab mehrbān chhoḌ aa.e
talātum-e-ġham-e-daurāñ meñ bah ga.e patvār
havā ke haath meñ ham bādbān chhoḌ aa.e
jahāñ se izn-e-takallum kabhī nahīñ miltā
vahīñ pe apnī darīda zabān chhoḌ aa.e
hameñ patā thā ki mojiz-bayāniyāñ hoñgī
zabān-e-ḳhalq magar bad-gumān chhoḌ aa.e
jahāñ kisī ko bhī apnā patā nahīñ miltā
vajūd-e-'nūr' vahīñ be-nishān chhoḌ aa.e
kahin zamin kahin aasman chhoD aae
dayar-karb mein apna makan chhoD aae
nae safar pe nae mausamon ne di aawaz
kaDi thi dhup magar saeban chhoD aae
ye jaan kar bhi ki na-mehrbaniyan hongi
purane shahr mein sab mehrban chhoD aae
talatum-e-gham-e-dauran mein bah gae patwar
hawa ke hath mein hum baadban chhoD aae
jahan se izn-e-takallum kabhi nahin milta
wahin pe apni darida zaban chhoD aae
hamein pata tha ki mojiz-bayaniyan hongi
zaban-e-KHalq magar bad-guman chhoD aae
jahan kisi ko bhi apna pata nahin milta
wajud-e-'nur' wahin be-nishan chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.