Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahna ghalat ghalat to chhupana sahih sahih

Unknown

kahna ghalat ghalat to chhupana sahih sahih

Unknown

MORE BYUnknown

    kahnā ġhalat ġhalat to chhupānā sahīh sahīh

    qāsid kahā jo us ne batānā sahīh sahīh

    ye sub.h sub.h chehre rangat uḌī huī

    kal raat tum kahāñ the batānā sahīh sahīh

    dil le ke merā haath meñ kahte haiñ mujh se vo

    kyā loge is daam batānā sahīh sahīh

    āñkheñ milāo ġhair se do ham ko jām-e-mai

    saaqī tumheñ qasam hai pilānā sahīh sahīh

    ai mai-farosh bhiiḌ hai terī dukān par

    gāhak haiñ ham bhī maal dikhānā sahīh sahīh

    'sājid' to jān-o-dil se faqat aap hai bas

    kyā aap bhī haiñ us ke batānā sahīh sahīh

    kahna ghalat ghalat to chhupana sahih sahih

    qasid kaha jo us ne batana sahih sahih

    ye subh subh chehre ki rangat uDi hui

    kal raat tum kahan the batana sahih sahih

    dil le ke mera hath mein kahte hain mujh se wo

    kya loge is ka dam batana sahih sahih

    aankhen milao ghair se do hum ko jam-e-mai

    saqi tumhein qasam hai pilana sahih sahih

    ai mai-farosh bhiD hai teri dukan par

    gahak hain hum bhi mal dikhana sahih sahih

    'sajid' to jaan-o-dil se faqat aap ka hai bas

    kya aap bhi hain us ke batana sahih sahih

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now