kahne lagi hai mujhse hawa kuchh hua to hai
kahne lagī hai mujh se havā kuchh huā to hai
sunñe meñ aa rahī hai sadā kuchh huā to hai
mahsūs kar rahā huuñ zamīñ kī namī ko maiñ
din raat ro rahī hai havā kuchh huā to hai
laḌkī uThā ke haath falak dekhne lagī
rūThā huā hai kyā ye ḳhudā kuchh huā to hai
mad.hosh ho rahā huuñ badan ko sambhāl tū
kyā aa rahī hai koī qazā kuchh huā to hai
mujh ko nikalnā aaj mere jism se paḌā
maiñ hī havā huuñ mujh se judā kuchh huā to hai
kaliyāñ sisak ke rone lagī chāñd raat meñ
aur peḌ de rahā hai sadā kuchh huā to hai
rotā huā jo dekhā use dasht-gāh meñ
tanhā.iyoñ ne mujh se kahā kuchh huā to hai
murshid hī jāntā hai ke kyā hādsa huā
murshid hī ne ye mujh se kahā kuchh huā to hai
mujh ko paḌā milā hai vo majdhār meñ to phir
paanī pe hai ye kis ne likhā kuchh huā to hai
koī nahīñ thā jo kī sune us kī baat ko
āḳhir vo boltā hī rahā kuchh huā to hai
āvāz aa rahī hai koī chīḳhtī huī
'arpit' nikal ke dekh zarā kuchh huā to hai
kahne lagi hai mujh se hawa kuchh hua to hai
sunne mein aa rahi hai sada kuchh hua to hai
mahsus kar raha hun zamin ki nami ko main
din raat ro rahi hai hawa kuchh hua to hai
laDki uTha ke hath falak dekhne lagi
ruTha hua hai kya ye KHuda kuchh hua to hai
madhosh ho raha hun badan ko sambhaal tu
kya aa rahi hai koi qaza kuchh hua to hai
mujh ko nikalna aaj mere jism se paDa
main hi hawa hun mujh se juda kuchh hua to hai
kaliyan sisak ke rone lagi chand raat mein
aur peD de raha hai sada kuchh hua to hai
rota hua jo dekha use dasht-gah mein
tanhaiyon ne mujh se kaha kuchh hua to hai
murshid hi jaanta hai ke kya hadsa hua
murshid hi ne ye mujh se kaha kuchh hua to hai
mujh ko paDa mila hai wo majdhaar mein to phir
pani pe hai ye kis ne likha kuchh hua to hai
koi nahin tha jo ki sune us ki baat ko
aaKHir wo bolta hi raha kuchh hua to hai
aawaz aa rahi hai koi chiKHti hui
'arpit' nikal ke dekh zara kuchh hua to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.