kahne sunne ka ajab donon taraf josh raha
kahne sunñe kā ajab donoñ taraf josh rahā
shahr kī bātoñ pe sahrā hama-tan-gosh rahā
āñkhoñ āñkhoñ meñ vazāhat se huā kiiñ bāteñ
chup na mahfil meñ vo baiThā na maiñ ḳhāmosh rahā
rakh diyā vaqt ne ā.īna banā kar mujh ko
rū-ba-rū hote hue bhī maiñ farāmosh rahā
muddatoñ ba.ad naqāb us ne uThā.ī ruḳh se
sar-ba-sar sho.ala vo niklā jo siyah-posh rahā
Thahrā iz.hār kī hasrat ko chhupānā mushkil
ban gayā boltī tasvīr jo ḳhāmosh rahā
dhuup kī thī jahāñ fasloñ ko zarūrat 'rāhī'
bādaloñ meñ vahīñ sūraj kahīñ rū-posh rahā
kahne sunne ka ajab donon taraf josh raha
shahr ki baaton pe sahra hama-tan-gosh raha
aankhon aankhon mein wazahat se hua kin baaten
chup na mahfil mein wo baiTha na main KHamosh raha
rakh diya waqt ne aaina bana kar mujh ko
ru-ba-ru hote hue bhi main faramosh raha
muddaton baad naqab us ne uThai ruKH se
sar-ba-sar shoala wo nikla jo siyah-posh raha
Thahra izhaar ki hasrat ko chhupana mushkil
ban gaya bolti taswir jo KHamosh raha
dhup ki thi jahan faslon ko zarurat 'rahi'
baadalon mein wahin suraj kahin ru-posh raha
- Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 295)
- Author : Ghulam Murtaza Rahi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.