kahne wale kahte hain
kahne vaale kahte haiñ
dasht meñ pāgal rahte haiñ
chāñd bhī sun ke jaltā hai
chāñd se chehre hote haiñ
terā hañsnā dekheñ to
mausam Thahrā karte haiñ
zaḳhm lage haiñ phūloñ se
jin ko paanī dete haiñ
āñkheñ merī sastī haiñ
aañsū tere mahñge haiñ
us ke shahr kī bārish meñ
phuul baraste rahte haiñ
ek nazar vo dekheñ to
ham āñkheñ paḌh lete haiñ
chiḌiyā tote mor aur vo
mujh ko apne lagte haiñ
un pe likkhe sher 'iqrā'
kuchh aur bhī achchhe hote haiñ
kahne wale kahte hain
dasht mein pagal rahte hain
chand bhi sun ke jalta hai
chand se chehre hote hain
tera hansna dekhen to
mausam Thahra karte hain
zaKHm lage hain phulon se
jin ko pani dete hain
aankhen meri sasti hain
aansu tere mahnge hain
us ke shahr ki barish mein
phul baraste rahte hain
ek nazar wo dekhen to
hum aankhen paDh lete hain
chiDiya tote mor aur wo
mujh ko apne lagte hain
un pe likkhe sher 'iqra'
kuchh aur bhi achchhe hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.