kaho buton se ki hum taba sada rakhte hain
kaho butoñ se ki ham tab.a saada rakhte haiñ
phir un se arz-e-vafā kā irāda rakhte haiñ
yahī ḳhatā hai ki is gīr-o-dār meñ ham log
dil-e-shagufta jabīn-e-kushāda rakhte haiñ
ḳhudā gavāh ki asnām se hai kam raġhbat
sanam-garī kī tamannā ziyāda rakhte haiñ
dukān-e-bāda-faroshāñ ke sahn meñ 'ābid'
farishte ḳhuld kā ik dar kushāda rakhte haiñ
kaho buton se ki hum taba sada rakhte hain
phir un se arz-e-wafa ka irada rakhte hain
yahi KHata hai ki is gir-o-dar mein hum log
dil-e-shagufta jabin-e-kushada rakhte hain
KHuda gawah ki asnam se hai kam raghbat
sanam-gari ki tamanna ziyaada rakhte hain
dukan-e-baada-faroshan ke sahn mein 'abid'
farishte KHuld ka ek dar kushada rakhte hain
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 697)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.