kaho to aaj bata den tumhein haqiqat bhi
kaho to aaj batā deñ tumheñ haqīqat bhī
ki zindagī se rahī hai hameñ mohabbat bhī
tumhārā husn to hai jaan apne rishte kī
barat rahe haiñ magar ham zarā muravvat bhī
hazār chāheñ magar chhūT hī nahīñ saktī
baḌī ajiib hai ye mai-kashī kī aadat bhī
ye zindagī koī mahshar sahī magar yaaro
sukūn-baḳhsh hai ham ko yahī qayāmat bhī
udhār le ke ḳhushī saarī umr jiite rahe
magar ye ilm thā aa.egī ham pe aafat bhī
kaho to aaj bata den tumhein haqiqat bhi
ki zindagi se rahi hai hamein mohabbat bhi
tumhaara husn to hai jaan apne rishte ki
barat rahe hain magar hum zara murawwat bhi
hazar chahen magar chhuT hi nahin sakti
baDi ajib hai ye mai-kashi ki aadat bhi
ye zindagi koi mahshar sahi magar yaro
sukun-baKHsh hai hum ko yahi qayamat bhi
udhaar le ke KHushi sari umr jite rahe
magar ye ilm tha aaegi hum pe aafat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.