kahta hai kaun sang-o-shajar bolte nahin
kahtā hai kaun sang-o-shajar bolte nahīñ
vo bolte haiñ jab to bashar bolte nahīñ
ta.amīl-e-hukm-e-rab meñ haiñ masrūf rāt-din
is vāste ye shams-o-qamar bolte nahīñ
gaañv ke zarre zarre meñ hai shor-o-ġhul magar
bāzār chup hai aur nagar bolte nahīñ
pal pal kī hai ḳhabar inheñ phir bhī na jaane kyoñ
dīvār be-zabān hai dar bolte nahīñ
paḌhte rahe darūd hai dasht-e-arab gavāh
ye baat hai ġhalat ki hajar bolte nahīñ
be-jān se bhī hote haiñ vo mahv-e-guftugū
kyā jaane mujh se kyoñ vo magar bolte nahīñ
qatroñ ko roz dete haiñ ye dars-e-ijtihād
phir kaise maan luuñ ki guhar bolte nahīñ
kahta hai kaun sang-o-shajar bolte nahin
wo bolte hain jab to bashar bolte nahin
tamil-e-hukm-e-rab mein hain masruf raat-din
is waste ye shams-o-qamar bolte nahin
ganw ke zarre zarre mein hai shor-o-ghul magar
bazar chup hai aur nagar bolte nahin
pal pal ki hai KHabar inhen phir bhi na jaane kyon
diwar be-zaban hai dar bolte nahin
paDhte rahe darud hai dasht-e-arab gawah
ye baat hai ghalat ki hajar bolte nahin
be-jaan se bhi hote hain wo mahw-e-guftugu
kya jaane mujh se kyon wo magar bolte nahin
qatron ko roz dete hain ye dars-e-ijtihad
phir kaise man lun ki guhar bolte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.