kahta hai na dil us but-e-be-pir se uljha
kahta hai na dil us but-e-be-pir se uljha
Nawab Nazeer Al-Daula
MORE BYNawab Nazeer Al-Daula
kahtā hai na dil us but-e-be-pīr se uljhā
nāseh mirā dil is tirī taqrīr se uljhā
dil yaar kī jo zulf-e-girah-gīr se uljhā
saudā.ī thā achchhā huā zanjīr se uljhā
zanjīra-e-har-satr hai zanjīr ke mānind
dil nāma-e-dildār kī tahrīr se uljhā
abrū kī mohabbat nahīñ achchhī kabhī ai dil
vo qatl huā saaf jo shamshīr se uljhā
koThe pe khaḌe baal sukhāte haiñ vo yā'nī
liije dil-e-ālam isī tadbīr se uljhā
dil hai jo giraftār tirī chīn-e-jabīñ kā
is daam meñ maiñ ḳhūbī-e-taqdīr se uljhā
saffāk zarā kījiyo to is ko samajh kar
ik tār-e-rag-e-jāñ hai tire tiir se uljhā
bālā-e-falak maah se haale pe paḌī os
haala jo kalī kī tirī zanjīr se uljhā
sad-chāk huā yaañ dil-e-sauda-zada apnā
shāna jo vahāñ zulf-e-girah-gīr se uljhā
sad-shukr ḳhudā haath rakhā dosh pe mere
jab pā.icha pā-e-but-e-be-pīr se uljhā
'daula' tū vo hai saaf chhuTā ḳhalq-e-ḳhudā se
ik rishta-e-aḳhlāq-e-jahāñgīr se uljhā
kahta hai na dil us but-e-be-pir se uljha
naseh mera dil is teri taqrir se uljha
dil yar ki jo zulf-e-girah-gir se uljha
saudai tha achchha hua zanjir se uljha
zanjira-e-har-satr hai zanjir ke manind
dil nama-e-dildar ki tahrir se uljha
abru ki mohabbat nahin achchhi kabhi ai dil
wo qatl hua saf jo shamshir se uljha
koThe pe khaDe baal sukhate hain wo ya'ni
lije dil-e-alam isi tadbir se uljha
dil hai jo giraftar teri chin-e-jabin ka
is dam mein main KHubi-e-taqdir se uljha
saffak zara kijiyo to is ko samajh kar
ek tar-e-rag-e-jaan hai tere tir se uljha
baala-e-falak mah se haale pe paDi os
haala jo kali ki teri zanjir se uljha
sad-chaak hua yan dil-e-sauda-zada apna
shana jo wahan zulf-e-girah-gir se uljha
sad-shukr KHuda hath rakha dosh pe mere
jab paicha pa-e-but-e-be-pir se uljha
'daula' tu wo hai saf chhuTa KHalq-e-KHuda se
ek rishta-e-aKHlaq-e-jahangir se uljha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.