kahta rahe zamana gunahgar zindagi
kahtā rahe zamāna gunahgār zindagī
kuchh log jī rahe haiñ mazedār zindagī
kirdār apnā apnā nibhāte haiñ sab yahāñ
samjho na tum kisī kī hai be-kār zindagī
ik vaqfa-e-ajal bhī to aatā hai darmiyāñ
chaltī nahīñ kisī kī lagātār zindagī
aage nikal chuke the ham apne vujūd se
phir bhī huī na kam tirī raftār zindagī
raste ka.ī hasīn nikalte jahāñ se the
laa.ī thī aise moḌ pe ik baar zindagī
hai zindagī se shikva unheñ bhī bahut 'faroġh'
hisse meñ jin ke aa.ī hai gulzār zindagī
kahta rahe zamana gunahgar zindagi
kuchh log ji rahe hain mazedar zindagi
kirdar apna apna nibhate hain sab yahan
samjho na tum kisi ki hai be-kar zindagi
ek waqfa-e-ajal bhi to aata hai darmiyan
chalti nahin kisi ki lagatar zindagi
aage nikal chuke the hum apne wujud se
phir bhi hui na kam teri raftar zindagi
raste kai hasin nikalte jahan se the
lai thi aise moD pe ek bar zindagi
hai zindagi se shikwa unhen bhi bahut 'farogh'
hisse mein jin ke aai hai gulzar zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.