kahte hain jis ko nazir suniye Tuk us ka bayan
kahte haiñ jis ko 'nazīr' suniye Tuk us kā bayāñ
thā vo moallim ġharīb buzdil o tarsanda-jāñ
koī kitāb is ke ta.iiñ saaf na thī dars kī
aa.e to ma.anī kahe varna paḌhā.ī ravāñ
fahm na thā ilm se kuchh arabī ke use
fārsī meñ haañ magar samjhe thā kuchh iin o aañ
likhne kī ye tarz thī kuchh jo likhe thā kabhī
puḳhtagī o ḳhāmī ke us kā thā ḳhat darmiyāñ
sher o ġhazal ke sivā shauq na thā kuchh use
apne isī shaġhl meñ rahtā thā ḳhush har zamāñ
sust ravish past qad sāñvlā hindī-nazhād
tan bhī kuchh aisā hī thā qad ke muāfiq ayaañ
māthe pe ik ḳhaal thā chhoTā sā masse ke taur
thā vo paḌā aan kar abruoñ ke darmiyāñ
vaz.a subuk us kī thī tis pe na rakhtā thā riish
mūchhaiñ thiiñ aur kānoñ par paTTe bhī the pumba-sāñ
piirī meñ jaisī ki thī us ko dil-afsurdagī
vaisī hī rahī thī un dinoñ jin dinoñ maiñ thā javāñ
jitne ġharaz kaam haiñ aur paḌhāne sivā
chāhiye kuchh us se hoñ utnī liyāqat kahāñ
fazl ne allāh ke us ko diyā umr bhar
izzat-o-hurmat ke saath pārcha o āb-o-nāñ
kahte hain jis ko 'nazir' suniye Tuk us ka bayan
tha wo moallim gharib buzdil o tarsanda-jaan
koi kitab is ke tain saf na thi dars ki
aae to mani kahe warna paDhai rawan
fahm na tha ilm se kuchh arabi ke use
farsi mein han magar samjhe tha kuchh in o aan
likhne ki ye tarz thi kuchh jo likhe tha kabhi
puKHtagi o KHami ke us ka tha KHat darmiyan
sher o ghazal ke siwa shauq na tha kuchh use
apne isi shaghl mein rahta tha KHush har zaman
sust rawish past qad sanwla hindi-nazhad
tan bhi kuchh aisa hi tha qad ke muafiq ayan
mathe pe ek KHal tha chhoTa sa masse ke taur
tha wo paDa aan kar abruon ke darmiyan
waza subuk us ki thi tis pe na rakhta tha rish
muchhain thin aur kanon par paTTe bhi the pumba-san
piri mein jaisi ki thi us ko dil-afsurdagi
waisi hi rahi thi un dinon jin dinon main tha jawan
jitne gharaz kaam hain aur paDhane siwa
chahiye kuchh us se hon utni liyaqat kahan
fazl ne allah ke us ko diya umr bhar
izzat-o-hurmat ke sath parcha o aab-o-nan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.