kahte ho ittihad hai hum ko
kahte ho ittihād hai ham ko
haañ kaho e'timād hai ham ko
shauq hī shauq hai nahīñ mālūm
is se kyā dil nihād hai ham ko
ḳhat se nikle hai bevafā.i-e-husn
is qadar to savād hai ham ko
aah kis Dhab se roiye kam kam
shauq had se ziyād hai ham ko
shaiḳh o pīr-e-muġhāñ kī ḳhidmat meñ
dil se ik e'tiqād hai ham ko
sādgī dekh ishq meñ us ke
ḳhvāhish-e-jān shaad hai ham ko
bad-gumānī hai jis se tis se aah
qasd-e-shor-o-fasād hai ham ko
dostī ek se bhī tujh ko nahīñ
aur sab se inaad hai ham ko
nā-murādāna ziist kartā thā
'mīr' kā taur yaad hai ham ko
kahte ho ittihad hai hum ko
han kaho e'timad hai hum ko
shauq hi shauq hai nahin malum
is se kya dil nihad hai hum ko
KHat se nikle hai bewafai-e-husn
is qadar to sawad hai hum ko
aah kis Dhab se roiye kam kam
shauq had se ziyaad hai hum ko
shaiKH o pir-e-mughan ki KHidmat mein
dil se ek e'tiqad hai hum ko
sadgi dekh ishq mein us ke
KHwahish-e-jaan shad hai hum ko
bad-gumani hai jis se tis se aah
qasd-e-shor-o-fasad hai hum ko
dosti ek se bhi tujh ko nahin
aur sab se inad hai hum ko
na-muradana zist karta tha
'mir' ka taur yaad hai hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.