kahte nahin hain haal kisi raazdan se hum
kahte nahīñ haiñ haal kisī rāzdāñ se ham
vāqif hue haiñ jab se fareb-e-jahāñ se ham
aa.egī phir na sahn-e-chaman meñ kabhī bahār
uTh kar chale ga.e jo kahīñ gulsitāñ se ham
manzil tamām umr hameñ DhūñDhtī rahī
shāyad bichhaḌ ga.e the rah-e-kārvāñ se ham
gardish ne jis key ham ko fasāna banā diyā
Takrā.e baar baar usī āsmāñ se ham
paa.ī dil-o-nigāh ne is jā se 'raushnī'
sar kis tarah uThā.eñ tire āstāñ se ham
kahte nahin hain haal kisi raazdan se hum
waqif hue hain jab se fareb-e-jahan se hum
aaegi phir na sahn-e-chaman mein kabhi bahaar
uTh kar chale gae jo kahin gulsitan se hum
manzil tamam umr hamein DhunDhti rahi
shayad bichhaD gae the rah-e-karwan se hum
gardish ne jis key hum ko fasana bana diya
Takrae bar bar usi aasman se hum
pai dil-o-nigah ne is ja se 'raushni'
sar kis tarah uThaen tere aastan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.