Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae

Mirza Ghalib

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    kahte to ho tum sab ki but-e-ġhāliyā-mū aa.e

    yak martaba ghabrā ke kaho koī ki vo aa.e

    huuñ kashmakash-e-naz.a meñ haañ jazb-e-mohabbat

    kuchh kah na sakūñ par vo mire pūchhne ko aa.e

    hai sā.iqa o sho.ala o sīmāb aalam

    aanā samajh meñ mirī aatā nahīñ go aa.e

    zāhir hai ki ghabrā ke na bhāgeñge nakīrain

    haañ muñh se magar bāda-e-doshīnā aa.e

    jallād se Darte haiñ na vaa.iz se jhagaḌte

    ham samjhe hue haiñ use jis bhes meñ jo aa.e

    haañ ahl-e-talab kaun sune tāna-e-nā-yāft

    dekhā ki vo miltā nahīñ apne ko kho aa.e

    apnā nahīñ ye sheva ki ārām se baiTheñ

    us dar pe nahīñ baar to ka.abe ko ho aa.e

    ham-nafasoñ ne asar-e-giryā meñ taqrīr

    achchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aa.e

    us anjuman-e-nāz kyā baat hai 'ġhālib'

    ham bhī ga.e vaañ aur tirī taqdīr ko ro aa.e

    kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae

    yak martaba ghabra ke kaho koi ki wo aae

    hun kashmakash-e-naza mein han jazb-e-mohabbat

    kuchh kah na sakun par wo mere puchhne ko aae

    hai saiqa o shoala o simab ka aalam

    aana hi samajh mein meri aata nahin go aae

    zahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakirain

    han munh se magar baada-e-doshina ki bu aae

    jallad se Darte hain na waiz se jhagaDte

    hum samjhe hue hain use jis bhes mein jo aae

    han ahl-e-talab kaun sune tana-e-na-yaft

    dekha ki wo milta nahin apne hi ko kho aae

    apna nahin ye shewa ki aaram se baiThen

    us dar pe nahin bar to kabe hi ko ho aae

    ki ham-nafason ne asar-e-girya mein taqrir

    achchhe rahe aap is se magar mujh ko Dubo aae

    us anjuman-e-naz ki kya baat hai 'ghaalib'

    hum bhi gae wan aur teri taqdir ko ro aae

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now