kahti hai namaz-e-subh ki bang
kahtī hai namāz-e-sub.h kī baañg
uTh sub.h huī hai kuchh duā maañg
dekhā maiñ chahār dāñg-e-ālam
par haath lagā na kuchh bhī ik daañg
sīmīñ badan us kā chāñdnī meñ
Dartā huuñ pighal na jaave juuñ raañg
TuuTā jo hamārā shīsha-e-dil
pahuñchegī falak tak us kī gul-bāñg
bahrūp hai ye jahāñ ki jis meñ
har roz nayā bane hai ik saañg
kartā huuñ savāl jis ke dar par
aatī hai yahī sadā ki phir maañg
dillī meñ paḌeñ na kyuuñ ke Daake
choroñ kī har ek ghar meñ hai thāng
ai shoḳh ye ḳhūn-e-'mus.hafī' hai
chal bach ke na aate jaate yuuñ laang
kahti hai namaz-e-subh ki bang
uTh subh hui hai kuchh dua mang
dekha main chahaar dang-e-alam
par hath laga na kuchh bhi ek dang
simin badan us ka chandni mein
Darta hun pighal na jawe jun rang
TuTa jo hamara shisha-e-dil
pahunchegi falak tak us ki gul-bang
bahrup hai ye jahan ki jis mein
har roz naya bane hai ek sang
karta hun sawal jis ke dar par
aati hai yahi sada ki phir mang
dilli mein paDen na kyun ke Dake
choron ki har ek ghar mein hai thang
ai shoKH ye KHun-e-'mushafi' hai
chal bach ke na aate jate yun lang
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.