kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko
kahūñ to kyā maiñ kahūñ pyārī pyārī āñkhoñ ko
subū kahūñ ki surāhī tumhārī āñkhoñ ko
kuchh aisā chhāyā hai dil par mire ġhubār-e-alam
guloñ ke saa.e bhī lagte haiñ bhārī āñkhoñ ko
jhalak rahe haiñ vo palkoñ pe āñsuoñ kī tarah
vo ġham jo tum ne diye haiñ hamārī āñkhoñ ko
jhukeñ jo palkeñ to ruk jaa.eñ dhaḌkaneñ dil kī
uTheñ to chuum leñ taare tumhārī āñkhoñ ko
lahū guloñ kā bahā hai ba-sūrat-e-āñsū
ḳhizāñ ne luuTā hai jab bhī hamārī āñkhoñ ko
duā.eñ karte haiñ nargis ke phuul gulshan meñ
nazar lage na kisī kī tumhārī āñkhoñ ko
sulagtī raat ke siine pe barf sī rakh dī
ġhazal meñ Dhaal ke goyā tumhārī āñkhoñ ko
mahakte phuul sanaktī havā ye mausam-e-gul
chaman meñ dekhte haiñ sab tumhārī āñkhoñ ko
kahun to kya main kahun pyari pyari aankhon ko
subu kahun ki surahi tumhaari aankhon ko
kuchh aisa chhaya hai dil par mere ghubar-e-alam
gulon ke sae bhi lagte hain bhaari aankhon ko
jhalak rahe hain wo palkon pe aansuon ki tarah
wo gham jo tum ne diye hain hamari aankhon ko
jhuken jo palken to ruk jaen dhaDkanen dil ki
uThen to chum len tare tumhaari aankhon ko
lahu gulon ka baha hai ba-surat-e-ansu
KHizan ne luTa hai jab bhi hamari aankhon ko
duaen karte hain nargis ke phul gulshan mein
nazar lage na kisi ki tumhaari aankhon ko
sulagti raat ke sine pe barf si rakh di
ghazal mein Dhaal ke goya tumhaari aankhon ko
mahakte phul sanakti hawa ye mausam-e-gul
chaman mein dekhte hain sab tumhaari aankhon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.