kaif be-samt rawan baat buri lagti hai
'kaif' be-samt ravāñ baat burī lagtī hai
ham to Tokeñge jahāñ baat burī lagtī hai
pyaar karne kā salīqa jise aa jaatā hai
vo samajhtā hai kahāñ baat burī lagtī hai
jis jagah kaam ishāroñ se nikālā jaa.e
ai mire dost vahāñ baat burī lagtī hai
jis pe mālik kī ināyat ho agar bin māñge
vo kare shikva yahāñ baat burī lagtī hai
jab se lauTe haiñ ḳhalā-bāz ḳhalā se ho kar
kyā milā un ko vahāñ baat burī lagtī hai
'kaif' be-samt rawan baat buri lagti hai
hum to Tokenge jahan baat buri lagti hai
pyar karne ka saliqa jise aa jata hai
wo samajhta hai kahan baat buri lagti hai
jis jagah kaam ishaaron se nikala jae
ai mere dost wahan baat buri lagti hai
jis pe malik ki inayat ho agar bin mange
wo kare shikwa yahan baat buri lagti hai
jab se lauTe hain KHala-baz KHala se ho kar
kya mila un ko wahan baat buri lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.