Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaif-e-gham lutf-e-alam yaad aaya

Athar Ziai

kaif-e-gham lutf-e-alam yaad aaya

Athar Ziai

MORE BYAthar Ziai

    kaif-e-ġham lutf-e-alam yaad aayā

    kis andāz-e-karam yaad aayā

    jāda-e-zīst ke har moḌ pe kyoñ

    kākul-e-yār ḳham yaad aayā

    kar gayā ġharq-e-nadāmat dil ko

    jab tirī aañkh nam yaad aayā

    na gayā phir tire aane ḳhayāl

    terā jaanā bhī na kam yaad aayā

    paayā zulmat se tajallī shu.ūr

    dair meñ ke haram yaad aayā

    khul gayā vus.at-e-dāmāñ bharam

    kyoñ tirā dast-e-karam yaad aaya

    aa gayā nām-e-ḳhudā lab pe mire

    jab vo patthar sanam yaad aayā

    meñ aayā thā jiine ḳhayāl

    yak-ba-yak shahr-e-adam yaad aayā

    fikr hai ḳhuld-ba-dāmāñ 'at.har'

    kūcha-e-rashk-e-iram yaad aayā

    kaif-e-gham lutf-e-alam yaad aaya

    kis ka andaz-e-karam yaad aaya

    jada-e-zist ke har moD pe kyon

    kakul-e-yar ka KHam yaad aaya

    kar gaya gharq-e-nadamat dil ko

    jab teri aankh ka nam yaad aaya

    na gaya phir tere aane ka KHayal

    tera jaana bhi na kam yaad aaya

    paya zulmat se tajalli ka shuur

    dair mein ja ke haram yaad aaya

    khul gaya wusat-e-daman ka bharam

    kyon tera dast-e-karam yaad aaya

    aa gaya nam-e-KHuda lab pe mere

    jab wo patthar ka sanam yaad aaya

    ji mein aaya hi tha jine ka KHayal

    yak-ba-yak shahr-e-adam yaad aaya

    fikr hai KHuld-ba-daman 'athar'

    kucha-e-rashk-e-iram yaad aaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now