kaif-e-safar ab apna hasil
kaif-e-safar ab apnā hāsil
kaisā jaada kaisī manzil
aaj kī duniyā diid ke qābil
āñkheñ raushan dil hai ġhāfil
hosh rahe to koī batā.e
kaun thā rahzan kaun thā qātil
mauj-e-vafā ko DhūñDh rahā huuñ
dariyā dariyā sāhil sāhil
pahle-pahal tūfān-e-tamannā
tark-e-tamannā āḳhirī manzil
naqsh-e-qadam se tere raushan
jaada jaada manzil manzil
kaif-e-safar ab apna hasil
kaisa jada kaisi manzil
aaj ki duniya did ke qabil
aankhen raushan dil hai ghafil
hosh rahe to koi batae
kaun tha rahzan kaun tha qatil
mauj-e-wafa ko DhunDh raha hun
dariya dariya sahil sahil
pahle-pahal tufan-e-tamanna
tark-e-tamanna aaKHiri manzil
naqsh-e-qadam se tere raushan
jada jada manzil manzil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.