kaifiyat iztirab ki si hai
kaifiyat iztirāb kī sī hai
tere ḳhat ke javāb kī sī hai
sub.h paḌhtā huuñ shaam paḌhtā huuñ
tū mukammal kitāb kī sī hai
sūra-e-shams hai nazar terī
sho.alagī āftāb kī sī hai
terī maujūdgī surūr-āgīñ
terī furqat azaab kī sī hai
merī āñkheñ haiñ titliyoñ kī tarah
terī sūrat gulāb kī sī hai
kyā karoge 'asad' ise le kar
jab ye duniyā habāb kī sī hai
kaifiyat iztirab ki si hai
tere KHat ke jawab ki si hai
subh paDhta hun sham paDhta hun
tu mukammal kitab ki si hai
sura-e-shams hai nazar teri
shoalagi aaftab ki si hai
teri maujudgi surur-agin
teri furqat azab ki si hai
meri aankhen hain titliyon ki tarah
teri surat gulab ki si hai
kya karoge 'asad' ise le kar
jab ye duniya habab ki si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.