kai aise bhi raste mein hamare moD aate hain
ka.ī aise bhī raste meñ hamāre moḌ aate haiñ
ki ghar aate hue apne ko aksar chhoḌ aate haiñ
hameñ rishtoñ se kyā matlūb hai āḳhir ki rozāna
kisī se toḌ aate haiñ kisī se joḌ aate haiñ
na jaane kis tarah bistar meñ ghus kar baiTh jaatī haiñ
vo āvāzeñ jinheñ ham roz bāhar chhoḌ aate haiñ
koī to maslahat hogī ki ham ḳhāmosh baiThe haiñ
hameñ bhī varna un ke ToTkoñ ke toḌ aate haiñ
chubhan sahte haiñ un kī par unheñ khulne nahīñ dete
hamāre darmiyāñ aise bhī kuchh gaTh-joḌ aate haiñ
kai aise bhi raste mein hamare moD aate hain
ki ghar aate hue apne ko aksar chhoD aate hain
hamein rishton se kya matlub hai aaKHir ki rozana
kisi se toD aate hain kisi se joD aate hain
na jaane kis tarah bistar mein ghus kar baiTh jati hain
wo aawazen jinhen hum roz bahar chhoD aate hain
koi to maslahat hogi ki hum KHamosh baiThe hain
hamein bhi warna un ke ToTkon ke toD aate hain
chubhan sahte hain un ki par unhen khulne nahin dete
hamare darmiyan aise bhi kuchh gaTh-joD aate hain
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 88)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.