kai aks mah-e-tamam the mujhe kha gae
ka.ī aks māh-e-tamām the mujhe khā ga.e
vo jo ḳhvāb se lab-e-bām the mujhe khā ga.e
koī raakh thī jo sulag rahī thī idhar udhar
vo jo rañg-e-sāya-e-shām the mujhe khā ga.e
vo jo āñsuoñ kī zabān thī mujhe pī ga.ī
vo jo bebasī ke kalām the mujhe khā ga.e
vo jo manziloñ kī duā.eñ thiiñ nahīñ le ga.iiñ
vo jo rāste ke salām the mujhe khā ga.e
vo jo bikhre bikhre se log the mire rog the
vo jo muttasil dar-o-bām the mujhe khā ga.e
kabhī ye ġhalat kabhī vo ġhalat kabhī sab ġhalat
ye ḳhayāl-e-puḳhta jo ḳhaam the mujhe khā ga.e
kai aks mah-e-tamam the mujhe kha gae
wo jo KHwab se lab-e-baam the mujhe kha gae
koi rakh thi jo sulag rahi thi idhar udhar
wo jo rang-e-saya-e-sham the mujhe kha gae
wo jo aansuon ki zaban thi mujhe pi gai
wo jo bebasi ke kalam the mujhe kha gae
wo jo manzilon ki duaen thin nahin le gain
wo jo raste ke salam the mujhe kha gae
wo jo bikhre bikhre se log the mere rog the
wo jo muttasil dar-o-baam the mujhe kha gae
kabhi ye ghalat kabhi wo ghalat kabhi sab ghalat
ye KHayal-e-puKHta jo KHam the mujhe kha gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.