kai azab-ruton ka itab baqi hai
ka.ī azāb-rutoñ kā itaab baaqī hai
kuchh ārizoñ kā bhī to ehtisāb baaqī hai
ye kyā ki shab kī asīrī meñ qaid ho jaa.eñ
yaqīñ hai jabki ruḳh-e-māhtāb baaqī hai
paḌāv Daal rahe haiñ sahar ke agle qadam
mirī zamīñ meñ abhī iztirāb baaqī hai
maiñ kaise maan luuñ ai jaañ ki harf-e-tāza meñ
tire junūñ kā vo pahlā nisāb baaqī hai
kai azab-ruton ka itab baqi hai
kuchh aarizon ka bhi to ehtisab baqi hai
ye kya ki shab ki asiri mein qaid ho jaen
yaqin hai jabki ruKH-e-mahtab baqi hai
paDaw Dal rahe hain sahar ke agle qadam
meri zamin mein abhi iztirab baqi hai
main kaise man lun ai jaan ki harf-e-taza mein
tere junun ka wo pahla nisab baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.