kai chehron mein dekha ja raha hun
ka.ī chehroñ meñ dekhā jā rahā huuñ
zamāne kī nazar kā vāhima huuñ
ye duniyā kyā ḳhabar ab ke bachegī
maiñ apnā marsiya ḳhud likh rahā huuñ
tajassus ab nazar kā aur kyā hai
jidhar sab dekhte haiñ dekhtā huuñ
haqīqat aa.ina jānegā lekin
tirī ḳhātir sañvarnā chāhtā huuñ
kabhī bantā hai koī lafz paikar
yuuñ likhne ko musalsal likh rahā huuñ
abhī huuñ phuul par shabnam kā qatra
abhī lab par koī harf-e-duā huuñ
khulā har ek dar 'fārūq' mujh par
sahar ke vaqt chiḌiyoñ kī navā huuñ
kai chehron mein dekha ja raha hun
zamane ki nazar ka wahima hun
ye duniya kya KHabar ab ke bachegi
main apna marsiya KHud likh raha hun
tajassus ab nazar ka aur kya hai
jidhar sab dekhte hain dekhta hun
haqiqat aaina jaanega lekin
teri KHatir sanwarna chahta hun
kabhi banta hai koi lafz paikar
yun likhne ko musalsal likh raha hun
abhi hun phul par shabnam ka qatra
abhi lab par koi harf-e-dua hun
khula har ek dar 'faruq' mujh par
sahar ke waqt chiDiyon ki nawa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.