kai dilon ke liye wajh-e-iztirab hun main
ka.ī diloñ ke liye vajh-e-iztirāb huuñ maiñ
magar tumheñ to suhūlat se dastiyāb huuñ maiñ
sunā.ī dūñgā maiñ tujh ko tirī hī dhaḌkan meñ
kabhī to paḌh mujhe ehsās kī kitāb huuñ maiñ
jise bhī chāhā use ḳhud se baḌh ke chāhā hai
isī liye to mohabbat meñ kāmyāb huuñ maiñ
kiyā hai hijr meñ aḳhtar-shumāriyoñ se gurez
so ratjagoñ ke liye niiñd kā azaab huuñ maiñ
chhupā diyā gayā jis ko hanūt kar ke kahīñ
kisī qadīm tamaddun kā vo shabāb huuñ maiñ
Thaharne detā nahīñ mujh ko paaoñ kā chakkar
so be-qarār bagūloñ ke ham-rikāb huuñ maiñ
ravāñ-davāñ haiñ mire dam se kā.enāt-o-hayāt
nigār-e-mus.haf-e-hastī kā intisāb huuñ maiñ
kai dilon ke liye wajh-e-iztirab hun main
magar tumhein to suhulat se dastiyab hun main
sunai dunga main tujh ko teri hi dhaDkan mein
kabhi to paDh mujhe ehsas ki kitab hun main
jise bhi chaha use KHud se baDh ke chaha hai
isi liye to mohabbat mein kaamyab hun main
kiya hai hijr mein aKHtar-shumariyon se gurez
so ratjagon ke liye nind ka azab hun main
chhupa diya gaya jis ko hanut kar ke kahin
kisi qadim tamaddun ka wo shabab hun main
Thaharne deta nahin mujh ko paon ka chakkar
so be-qarar bagulon ke ham-rikab hun main
rawan-dawan hain mere dam se kaenat-o-hayat
nigar-e-mushaf-e-hasti ka intisab hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.