kai din se hum bhi hain dekhe use hum pe naz o itab hai
kai din se hum bhi hain dekhe use hum pe naz o itab hai
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
ka.ī din se ham bhī haiñ dekhe use ham pe naaz o itaab hai
kabhī muñh banā kabhī ruḳh phirā kabhī chīñ-jabīñ pe shitāb hai
hai phañsā jo zulf meñ us ke dil to batā deñ kyā tujhe ham-nashīñ
kabhī bal se bal kabhī ḳham se ḳham kabhī tāb-chīn se taab hai
vo ḳhafā jo ham se hai ġhuncha-lab to hamārī shakl ye hai ki ab
kabhī ranj-e-dil kabhī āh-e-jāñ kabhī chashm-e-ġham se pur-āb hai
nahīñ aatā vo jo idhar zarā hamīñ intizār meñ us ke yaañ
kabhī jhāñknā kabhī tāknā kabhī be-kalī pai.e-ḳhvāb hai
vo 'nazīr' ham se jo aa milā to phir us ghaḌī se ye 'aish haiñ
kabhī ruḳh pe ruḳh kabhī lab pe lab kabhī sāġhar-e-mai-e-nāb hai
kai din se hum bhi hain dekhe use hum pe naz o itab hai
kabhi munh bana kabhi ruKH phira kabhi chin-jabin pe shitab hai
hai phansa jo zulf mein us ke dil to bata den kya tujhe ham-nashin
kabhi bal se bal kabhi KHam se KHam kabhi tab-chin se tab hai
wo KHafa jo hum se hai ghuncha-lab to hamari shakl ye hai ki ab
kabhi ranj-e-dil kabhi aah-e-jaan kabhi chashm-e-gham se pur-ab hai
nahin aata wo jo idhar zara hamin intizar mein us ke yan
kabhi jhankna kabhi takna kabhi be-kali paie-KHwab hai
wo 'nazir' hum se jo aa mila to phir us ghaDi se ye 'aish hain
kabhi ruKH pe ruKH kabhi lab pe lab kabhi saghar-e-mai-e-nab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.