kai din se koi hichki nahin hai
ka.ī din se koī hichkī nahīñ hai
vo ham ko yaad ab kartī nahīñ hai
sivā tere jidhar se koī aa.e
hamāre dil meñ vo khiḌkī nahīñ hai
maiñ jis dariyā meñ kāñTā Dāltā thā
sunā hai ab vahāñ machhlī nahīñ hai
thiiñ jitnī sab kueñ meñ pheñk aa.e
hamāre paas ab nekī nahīñ hai
kai din se koi hichki nahin hai
wo hum ko yaad ab karti nahin hai
siwa tere jidhar se koi aae
hamare dil mein wo khiDki nahin hai
main jis dariya mein kanTa Dalta tha
suna hai ab wahan machhli nahin hai
thin jitni sab kuen mein phenk aae
hamare pas ab neki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.