kai dinon se murawwat nahin hui mujhse
ka.ī dinoñ se muravvat nahīñ huī mujh se
use bhī koī shikāyat nahīñ huī mujh se
bahut se kaam dikhāve ke kar rahā thā maiñ
ḳhudā kā shukr ibādat nahīñ huī mujh se
na.e sire se mohabbat kī aarzū thī magar
na.e sire se mohabbat nahīñ huī mujh se
ye log apne aqīde se pyaar karte haiñ
isī liye to aqīdat nahīñ huī mujh se
maiñ zimmedār huuñ terī udaas āñkhoñ kā
maiñ māntā huuñ hifāzat nahīñ huī mujh se
tamām raat yūñhī tīliyāñ jalātā rahā
diyā jalāne kī himmat nahīñ huī mujh se
ye aur baat tujhe darguzar kiyā varna
kisī ke saath ri.āyat nahīñ huī mujh se
kai dinon se murawwat nahin hui mujh se
use bhi koi shikayat nahin hui mujh se
bahut se kaam dikhawe ke kar raha tha main
KHuda ka shukr ibaadat nahin hui mujh se
nae sire se mohabbat ki aarzu thi magar
nae sire se mohabbat nahin hui mujh se
ye log apne aqide se pyar karte hain
isi liye to aqidat nahin hui mujh se
main zimmedar hun teri udas aankhon ka
main manta hun hifazat nahin hui mujh se
tamam raat yunhi tiliyan jalata raha
diya jalane ki himmat nahin hui mujh se
ye aur baat tujhe darguzar kiya warna
kisi ke sath riayat nahin hui mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.