kaisa hoga des piya ka kaisa piya ka ganw re
kaisā hogā des piyā kā kaisā piyā kā gaañv re
kaisī hogī dhuup vahāñ kī kaisī vahāñ kī chhāñv re
chāñdī jaise peḌ vahāñ ke hiire motī phūl-o-phal
sone kī piilī dhartī par rakhte hoñge paañv re
pī pī papīhe bolte hoñge kānoñ meñ ras gholte hoñge
Thumrī hogī koyal kī kū kajrī kaagā kī kaaoñ re
kānhā hoñge log vahāñ ke rādhā hoñgī bālā.eñ
pyaar kī bansī bajtī hogī har samay har Thāoñ re
laaj se haa.e mar jā.ūñgī maiñ miTTī meñ gaḌ jā.ūñgī
jab sakhiyāñ mujh ko chheḌeñgī le kar pī kā naañv re
kaisa hoga des piya ka kaisa piya ka ganw re
kaisi hogi dhup wahan ki kaisi wahan ki chhanw re
chandi jaise peD wahan ke hire moti phul-o-phal
sone ki pili dharti par rakhte honge panw re
pi pi papihe bolte honge kanon mein ras gholte honge
Thumri hogi koyal ki ku kajri kaga ki kaon re
kanha honge log wahan ke radha hongi baalaen
pyar ki bansi bajti hogi har samay har Thaon re
laj se hae mar jaungi main miTTi mein gaD jaungi
jab sakhiyan mujh ko chheDengi le kar pi ka nanw re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.