kaise amir kis ke gada tajdar kya
Interesting Fact
Sutoor- Delhi
kaise amiir kis ke gadā tājdār kyā
dārul-fanā meñ jabr hai kyā iḳhtiyār kyā
vo tez dhuup hai ki pighalne lage haiñ ḳhvāb
zulfoñ ke saa.e deñge fareb-e-bahār kyā
ābād kar ḳharābae--zehn-o-ḳhayāl ko
shahroñ meñ DhūñDhtā hai sukūn-o-qarār kyā
simTe to musht-e-ḳhāk hai ye aadmī kī zaat
bikhre to phir ye arsa-e-lail-o-nihār kyā
maiñ huuñ 'sarosh' banda-e-majbūr-o-nā-tavāñ
mujh meñ bhī terā aks hai parvardigār kyā
kaise amir kis ke gada tajdar kya
darul-fana mein jabr hai kya iKHtiyar kya
wo tez dhup hai ki pighalne lage hain KHwab
zulfon ke sae denge fareb-e-bahaar kya
aabaad kar KHarabae--zehn-o-KHayal ko
shahron mein DhunDhta hai sukun-o-qarar kya
simTe to musht-e-KHak hai ye aadmi ki zat
bikhre to phir ye arsa-e-lail-o-nihaar kya
main hun 'sarosh' banda-e-majbur-o-na-tawan
mujh mein bhi tera aks hai parwardigar kya
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 67)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.