kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kaise hotī hai shab kī sahar dekhte
kaash ham bhī kabhī jaag kar dekhte
ḳhvāb kaise utartā hai ehsās meñ
tere shāne pe rakh ke ye sar dekhte
ek ummīd thī muntazir umr bhar
kaash tum bhī kabhī lauT kar dekhte
barf kī jhīnī chādar tale jhiil thī
chhū ke mujh ko kabhī tum agar dekhte
uñgliyāñ un kī letīñ na sannyās to
merī zulfoñ se bhī khel kar dekhte
ek parvāz meñ gir na jaate agar
tere man kā gagan mere par dekhte
band kamroñ ne kholī nahīñ sāñkleñ
varna sajde meñ baiThī 'sahar' dekhte
kaise hoti hai shab ki sahar dekhte
kash hum bhi kabhi jag kar dekhte
KHwab kaise utarta hai ehsas mein
tere shane pe rakh ke ye sar dekhte
ek ummid thi muntazir umr bhar
kash tum bhi kabhi lauT kar dekhte
barf ki jhini chadar tale jhil thi
chhu ke mujh ko kabhi tum agar dekhte
ungliyan un ki letin na sannyas to
meri zulfon se bhi khel kar dekhte
ek parwaz mein gir na jate agar
tere man ka gagan mere par dekhte
band kamron ne kholi nahin sanklen
warna sajde mein baiThi 'sahar' dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.