kaise kahen ki hum bhi bhala KHairiyat se hain

kaise kahen ki hum bhi bhala KHairiyat se hain
Moin Alvi Khairabadi
MORE BYMoin Alvi Khairabadi
kaise kaheñ ki ham bhī bhalā ḳhairiyat se haiñ
jab tum ḳhafā ho ham se to kyā ḳhairiyat se haiñ
fasl-e-bahār jhuum ke aa.ī to hai magar
gulshan meñ phuul bād-e-sabā ḳhairiyat se haiñ
ḳhūn-e-vafā vo kar na sakeñge kisī jagah
jab tak lagī rahegī hinā ḳhairiyat se haiñ
duniyā ke laakh zulm hoñ mujh ko hai ye yaqīn
jab tak hai sar pe maañ kī du'ā ḳhairiyat se haiñ
dīdār ho na ho mujhe ab ġham nahīñ 'mu'īn'
ham bevafā se kar ke vafā ḳhairiyat se haiñ
kaise kahen ki hum bhi bhala KHairiyat se hain
jab tum KHafa ho hum se to kya KHairiyat se hain
fasl-e-bahaar jhum ke aai to hai magar
gulshan mein phul baad-e-saba KHairiyat se hain
KHun-e-wafa wo kar na sakenge kisi jagah
jab tak lagi rahegi hina KHairiyat se hain
duniya ke lakh zulm hon mujh ko hai ye yaqin
jab tak hai sar pe man ki du'a KHairiyat se hain
didar ho na ho mujhe ab gham nahin 'mu'in'
hum bewafa se kar ke wafa KHairiyat se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.