kaise kaise guman mein guzri
kaise kaise gumān meñ guzrī
zindagī imtihān meñ guzrī
band the jis ke saare darvāze
'umr aise makān meñ guzrī
tujh ko bhī hai ḳhabar jahāñ vaale
ham pe kyā is jahān meñ guzrī
zikr aayā thā us kā mahfil meñ
shab phir us ke hī dhyān meñ guzrī
ġham-e-daurāñ meñ bhī hayāt apnī
‘azm ke sā.ebān meñ guzrī
kaise kaise guman mein guzri
zindagi imtihan mein guzri
band the jis ke sare darwaze
'umr aise makan mein guzri
tujh ko bhi hai KHabar jahan wale
hum pe kya is jahan mein guzri
zikr aaya tha us ka mahfil mein
shab phir us ke hi dhyan mein guzri
gham-e-dauran mein bhi hayat apni
‘azm ke saeban mein guzri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.