kaisī chalī hai ab ke havā tere shahr meñ
bande bhī ho ga.e haiñ ḳhudā tere shahr meñ
tū aur harīm-e-nāz meñ pā-basta-e-hinā
ham phir rahe haiñ ābla-pā tere shahr meñ
kyā jaane kyā huā ki pareshān ho ga.ī
ik lahza ruk ga.ī thī sabā tere shahr meñ
kuchh dushmanī kā Dhab hai na ab dostī kā taur
donoñ kā ek rañg huā tere shahr meñ
shāyad tujhe ḳhabar ho ki 'ḳhātir' thā ajnabī
logoñ ne us ko luuT liyā tere shahr meñ
kaisi chali hai ab ke hawa tere shahr mein
bande bhi ho gae hain KHuda tere shahr mein
tu aur harim-e-naz mein pa-basta-e-hina
hum phir rahe hain aabla-pa tere shahr mein
kya jaane kya hua ki pareshan ho gai
ek lahza ruk gai thi saba tere shahr mein
kuchh dushmani ka Dhab hai na ab dosti ka taur
donon ka ek rang hua tere shahr mein
shayad tujhe KHabar ho ki 'KHatir' tha ajnabi
logon ne us ko luT liya tere shahr mein
Videos
This video is playing from YouTube
Ghulam Ali
kaisi chali hai ab ke hawa tere shahr mein
Nomaan Shauque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.