kaisi dil pe ye ho gain ghaten subh se pahle sham ke baad
kaisi dil pe ye ho gain ghaten subh se pahle sham ke baad
Jameel Ahmad Jameel
MORE BYJameel Ahmad Jameel
kaisī dil pe ye ho ga.iiñ ghāteñ sub.h se pahle shaam ke baad
kaun kare ab raaz kī bāteñ sub.h se pahle shaam ke baad
zehn-e-pareshāñ ke āñgan meñ kyā kyā phuul khilāte haiñ
ḳhvāb ke manzar hijr kī rāteñ sub.h se pahle shaam ke baad
aaj bhī yaad ke dasht kā dāman kyoñ giilā kar jaatī haiñ
aañkh se ashkoñ kī barsāteñ sub.h se pahle shaam ke baad
dil kī galī meñ aaj bhī koī shor-e-rabāb-o-chang nahīñ
guzreñgī ḳhāmosh barāteñ sub.h se pahle shaam ke baad
zikr-e-lab-o-ruḳhsār meñ aksar din to guzar jaate haiñ 'jamīl'
kab kaTtī haiñ ye hijr kī rāteñ sub.h se pahle shaam ke baad
kaisi dil pe ye ho gain ghaten subh se pahle sham ke baad
kaun kare ab raaz ki baaten subh se pahle sham ke baad
zehn-e-pareshan ke aangan mein kya kya phul khilate hain
KHwab ke manzar hijr ki raaten subh se pahle sham ke baad
aaj bhi yaad ke dasht ka daman kyon gila kar jati hain
aankh se ashkon ki barsaten subh se pahle sham ke baad
dil ki gali mein aaj bhi koi shor-e-rabab-o-chang nahin
guzrengi KHamosh baraaten subh se pahle sham ke baad
zikr-e-lab-o-ruKHsar mein aksar din to guzar jate hain 'jamil'
kab kaTti hain ye hijr ki raaten subh se pahle sham ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.