kaisi kaisi bastiyan do din mein viran ho gain
Interesting Fact
1914
kaisī kaisī bastiyāñ do din meñ vīrāñ ho ga.iiñ
dekhte hī dekhte gard-e-pareshāñ ho ga.iiñ
shaġhl-e-mai kab tak ye saaqī āñkheñ jhuk aa.eñ bahut
raat bhīgī aur zulfeñ bhī pareshāñ ho ga.iiñ
phirtī haiñ āñkhoñ meñ saaqī shab kī vo kaifiyyateñ
dekhte hī dekhte ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
tāqat-e-majnūñ kujā nazzāra-e-lailī kujā
parda-e-mahmil uThā aur āñkheñ hairāñ ho ga.iiñ
arsa-e-qaid-e-hayāt ab vahshiyoñ par tañg hai
chaar dīvār-e-anāsir mil ke zindāñ ho ga.iiñ
raas aa.ī hai na aa.egī zamāne kī havā
'yās' kyā kyā sohbateñ gard-e-pareshāñ ho ga.iiñ
kaisi kaisi bastiyan do din mein viran ho gain
dekhte hi dekhte gard-e-pareshan ho gain
shaghl-e-mai kab tak ye saqi aankhen jhuk aaen bahut
raat bhigi aur zulfen bhi pareshan ho gain
phirti hain aankhon mein saqi shab ki wo kaifiyyaten
dekhte hi dekhte KHwab-e-pareshan ho gain
taqat-e-majnun kuja nazzara-e-laili kuja
parda-e-mahmil uTha aur aankhen hairan ho gain
arsa-e-qaid-e-hayat ab wahshiyon par tang hai
chaar diwar-e-anasir mil ke zindan ho gain
ras aai hai na aaegi zamane ki hawa
'yas' kya kya sohbaten gard-e-pareshan ho gain
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 153)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.